Most of the Hussain Bakhsh's ghazals are always worth listening because of his way of delivering the verses and his painful voice both are awesome but some of his ghazals like "Hai Dua Yaad Magar Harf E Dua Yaad Nahi" are beyond perfection. Just like the previous ghazal I've uploaded of him, this one is also a example of what you call a perfect ghazal to. I simply love the poetry of it as well, written by Saghar Siddiqui. Its all about the emotions and feelings one has sometimes.
Previous ghazal by Hussain Bakhsh: Tujhe Kho Kar Bhi Tujhe Paon
Poetry:
Roman Urdu:
Hai dua yaad magar harf e dua yaad nahiMeray nagmat ko andaz e nava yaad nahi
Main ne palkon se dar e yaar pe dastak di hai
Main woh sahil hoon jise koi sada yaad nahi
Main ne jin keh liye rahoun mein bichaya tha lahu
Hum se kahtein hain wohi ahad e wafa hogaye
Kaisey bhar aayein sar e shaam mein kisi ki ankhein
Kaisey tharrae charaghon ke ziya yaad nahi
Sirf dhundali sitaroun ki chamak dekhi hai
Kab hua kon hua kis se khafa yaad nahi
Zindagi jabar e musalsal ki tarah kaati hai
Jane kis jurm ki pai hai saza yaad nahi
Aao ik sajda karein aalam e madhoshi mein
Kahtein hain keh "Sagar" ko khuda yaad nahi
:اردو
Hai Dua Yaad Magar Poetry By Saghar Siddiqui |
ہے دوا یاد مگر حرفے دوا یاد نہیں
میرے نگمت کو اندازے نوا یاد نہیں
میں نے پلکوں سے درے یار پر دستک دی ہے
میں وہ ساحل ہوں جسے کوئی سدّا یاد نہیں
میں نے جن کے لئے رہوں میں بچایا تھا لہو
ہم سے کہتیں ووہی عہدے وفا ہوگے
کیسے بھر آییں سر شاممیں کسی کی آنکھی
کیسےٹھرے چراغوں کی زیا یاد نہیں
صرف دھندلی ستاروں کی چمک دیکھی ہے
کب ہوا کون ہوا کس سے خفا یاد نہیں
زندگی جبرے مسلسل کی طرح کاتی ہے
جانے کس جرم کی پی ہے سزا یاد نہیں
او اک سجدہ کریں عالمے مدہوشی میں
کہتیں ہیں کہ "ساگر" کو خدا یاد نہیں
- Poetry By: Saghar Siddqui