Another magnificent old ghazal from the best of all times K.L Saigal. Shukriya Hasti Ka is by the poet; Seemab Akbarabadi, a wonderful spirtual ghazal in which he composed some incredible verses about his relations in the middle of God(Allah) and him.
Lyrics/Poetry:
"Shukriya hasti ka, lekin tu ne ye kiya kar diya
Parde he parde mein apna raaz ifshaa kar diya
Maang kar hum laaye thay Allah se ik dard e ishq
Wou bhi ab taqdeer ne auroun ka hissa kar diya
Dou hi angaare thay haathoun mein khuda e ishq ke
Aik ko dil aik ko mera kaleja kar diya
Apni is vaaraftaagi e shauq ka mamnoon hu
Baar ha mujh, bhari mehfil mein tanha kar diya
Marhammat farma ke ai Seemab gham ki ye lazzatein
Zeest ki talkhi ko fitrat ne gavara kar diya"
- Seemab Akbarabadi